
Kaisi baddal jaati hai zindagi
Kab kaunsa azmaaish shuru ho jaaey kissi ko patta nahi
Havva jaisi saare yeh lamhein hain
Baarish ki boundein jaisi yeh meethi si yaadein hain
Yaad nahi rakhounga waapis jaa ke
Saare kehte thay mujhe
Abhi bhi mujhe tum saare yaad ho
Nahi bhoola mein
In yaadoun mein hi mere chand khushi ke din hain
Aaj aur abhi ke lamhoun ko khoobsoorat
Vohi yaadein banaatein hain
Subha ki azaan
Apni aik pehchaan
Gharwaale ke pyaar se bar kar
Dowsto ka saath
Dhal ta howa suraj
Angheeti ke saamne baith kar
Namaaz e Assar ke baad
Daadaa jee ki duaein
Barri ammi ki eidie
School ke techaroun ki kaafi saari pitaaey
Larkiyoun ka tow mein naam nahi likh sakta
Shaadiyaan ho chukki ho gi un sab ki
Maggar voh bhi thein bohat saari
School ki jalebi imli samose aur barfi
Ghar jaa te vakht
Bus pe charne se pehle
Dow ruppe ki roti aur seekh bowti
Pehli daffa jab khaaya tha thappar
Because of a stupid larki
Yaadein hein hain
Jo hamesha saath raheingi
Jaisa aap mere baare mein kehte thay
Yeh yaadein mujhe chor ke kabhi nahi jaatein
Koi bhi zindagi ka kaisa bhi maur ho
Mein kabhi nahi bhoolpaunga aap sab ko
Yeh vaada hai mera
Ab sab se abhi bhi
In he yaadoun ke sahaare mein houn muskuraa ke jiya
Ab aap poocho ge shayad ke mein kaun houn
Yeh sab likhne waala
England ke export maal
Mein Imran houn aap sab ka